#Namaaz k arkaan aur wajibaat aur sajdah sahu ka treeka Namaz k arkaan woh hisse hai namaz k jis se namaaz bnti hai *14 arkaan hai 1)taaqat k saath kdha hona frz namaz m.. *nifal beth kr pdh skte h lyken sawaab aadha milta hai 2)tkbeer e tehrima 3) Surah fatiha pdhna 4)Ruku krna 5)Ruku se sar uthana 6)7 aaza par sajdah krna 8)Dono sajdo k darmiyan bethna 9)aakhri tashhhd mai bethna 10)qirat e tashhhd 11)Durud shreef 12)Salaam pherna 13)itminaan 14)tarteeb #Namaaz k wajibaat 1)Saari tkbeer siwae tkbeer e tehrima k 2)ruku mai Subhana rabiyal azeem kehna 3)sami allah hu liman hamida kehna imam aur munfarid(akela namaz pdhne wala) k lea 4)Rabana wa'lakal hmd sb k lea 5)Subhana rabbiyal aala Sajde mai 6)rabigh firle kehna do sajdo k darmiyan 7)pehla tashhhd mai bethna 8)Pehla tashhhd ki qirat #Rukun agar chooth jae ya us mai shak hojae to kya kre *Agar pehla rukun yaani tkbeer e tehrima chooth gaya to saari namaaz dhorae gai kynki namaz shuru huwi he nhi *Agar koi dusra rukun chothey jaise ruku krna bhool gae.. Aur Sajde mai yaad aaya k ruku krna bhool gae hai /ya phir shak hojae k ruku kea tha ya nhi to ruku mai laut jae gai aur phir ruku kregai aur phir trteeb se aage ki namaz padegai.. Aur phir last mai sajdah sahu kregai *agar dusri Rakaat k start hone k baad yaad aaya k pehli Rakaat ka ruku bhool gae they to ab pehli wali Rakaat cancel hojae gi aur ab dusri Rakaat ko pehli Rakaat maan kr padegai.. Aur aakhir mai sajdah sahu kregai *agar Salaam pherne k baad yaad aae k koi rukun chooth gaya h to jo rukun chotha tha waha se namaz padegai mukkmal phir sajdah sahu kregai phir salaam.. *agar salaam k baad yaad aaya k koi arkaan zyada hogaya to sirf sajdah sahu krlegai aur phir salaam wajib agar chooth jae to usko lautane ki zrort nhi hai.. Lyken jaan bhoojh kr wajib chordhne se namaz batil hojati h Misaal k tor pr agar koi shks teesri Rakaat mai kdha hogaya tashhhd Mai bethe bhgeir jo k wajib h to ab usko wapis lautne ki zrort nhi h .. Pr woh last mai sajdah sahu krega.. #Agar namaz mai zyadati hojae bhole se to sirf sajdah sahu krle gai Sajdah sahu yaani bhool ki wjh se do Sajde krna namaz k aakhir mai Agar namaaz mai zyadati hojae to salaam pehle kregai dono trf phir sajdah sahu phir salaam *agar namaz mai koi kame ho to pehle sajdah sahu phir salaam.. *yh trteeb mustaheb hai zarori nhi