Muamma ke naye teaser mein dikhaya gaya hai ke Zahara (Saba Qamar) ki pareshani mazeed barh gayi hai. Woh khud ko ek aisi "paheli" karar deti hain jo bilkul tanha hai. Isi dauraan unhe ek call aati hai jahan ek shakhs batata hai ke use Zahara ke kirayedaaron ne pakar liya hai aur woh ab police ko bulanay ki baatein kar rahe hain. Kya Zahara ka raaz khul jayega? Dekhiye Muamma ka agla dhamakedar episode.