Noha: Nishan e Fouj e Payambar uthaya jata hai

Noha: Nishan e Fouj e Payambar uthaya jata hai

Noha: Nishan e Fouj e Payambar uthaya jata hai Reciter: Janab Abbas Raza Alvi Poet: Janab Najam Lyrics: Nishane fauje payambar sajaya jata hai shababe shere khuda yaad aaya jaata hai Ali (a.s.) ka laal alam le chuka baraadar se Sakina (s.a.) bibi ka saqqa sajaaya jaata hai Alam mein mashk bandhi sab ki bandh gai ummeed k ab piyaason ko paani pilaaya jaata hai Haram mein ghere hue hain nabi ki aal sabhi abhi to Aankhon se parcham lagaaya jaata hai Khuda kare ke vo khaime mein kaamyaab aaein badi ummeedon se pardah uthaaya jaata hai Hawaaein zard pharaire ko le udein ran se abhi furaat ki lehron pe chaaya jaata hai Ali (a.s.) ka chaand Ali (a.s.) ka nishaan kya kehna tamaam dasht e bala jagmagaaya jaata hai Wo sher ghaat pe aaya wo mashk leke chala wo naizaa baazon ke narghe mein aaya jaata hai Ghata jo zore tasawwar badha Sakina (s.a.) ka nazar mein phool sa chehra samaaya jaata hai simat ke aai hain faujein ke raasta na mile Ali (a.s.) ke chand pe badal sa chaaya jata hai Jise lahu se bhi apna azeez samjha tha laga ke teer vo paani bahaya jaata hai Ummed qata hui ab sambhal nahi sakte nishane fauje wafa thar tharaya jaata hai kata ke haath tarai me so gae Abbas (a.s.) Alam Husain (a.s.) ka khaime mein laaya jaata hai kuch aisi shaan se Akbar (a.s.) utha ke laaye hain ke jis tarah se janaaza uthaaya jaata hai vo saamne hai Alam ki shabeeh najm utho wafa parasti ka manzar dikhaaya jaata hai Recited in Majlis e Shahadat e Mola Ghazi Abbas AS at Muhammadi Welfare Association (MWA), Sydney on 26-JUL-2023. Mohtaj e dua