SUGHRA HAI BIMAR (Nauha Lyrics Shabih Gopalpuri & Brother's 2015-16) Sughra hai bimar ×4 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 Jald khabar lo aake baba Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 1.Jabse sidhare aap safar me Lagta nahi dil mera bhi ghar me Rehta hai aksar dard bhi sar me Rehti hai taklif jigar me Koi nahi yaa'n dekhne wala Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 2.Dil apna kis se behlau God me lekar kisko khelau Jhula kise din raat jhulau Loriya ab kis ko mai sunau Kisko sunau dard ka kissa Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 3.Paas jo hota mera baradar Pyaar mai karti god me lekar Has leti jab hasta Asghar Uski judai shaaq hai dil par Shaq na kahi ho jaye kaleja Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 4.Yaad ata hai mujhko bhara ghar Lene na aaye bhai Akbar Bhool gaye ammu bhi jakar Shikwa kare kis kis ka ye dukhtar Qismat ne ye din hai dikhaya Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 5.Ghar me na ab khaane ko gheza hai Aur na ab pine ko dawa hai Pehle se bhi kuchh dard sewa hai Raat me aksar dam ghut ta hai Aisa na ho mar jaye mariza Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 6.Maut agar ajaye aye baba Kaun meri Yaseen padhega Rukh ko mere aye Saiyyade wala Qible ke janib kaun karega Uthega kaise mera janaza Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 7.Baba ye nama jaise hi pana Paas mere jaldi ajana Ab na mujhe zyada tadpana Apni ziyarat jald karana Palke bichhaye baithi hai Sughra Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2 . 8.Haif Muzahir nama e Sughra Roz e dahun jis waqt tha pahocha Qabr e Ali Asghar pe the maula Khat le kar ankhon se lagaya Chikh uthe ye padh kar jumla Sughra hai bimar ×2 Shah ko ye Sughra likhti hai nama Sughra hai bimar ×2