Allah parwar digare aalam ka zati naam hai. Iske alawa uske baki sabhi naam sifati hai. Allah Al or Ilah se milkar bana hai, Ilah ka matlab hai mabood. Matlab jiski ibadat ki jae use mabood kehte hain, Mabood sirf ek hi hai, or wahi hai jisne is dikhne or na dikhne wali poori kaynat or tamaam makhlookat ko matlab tamam aalam ko peda farmaya hai, or wahi hai is sab ki nigrani or hifazat kar raha hai. Tama kaynat ma or jo kuchh khule ma ho raha hai ya jo kuchh bhi chhipe ma ho raha hai wo sabhi usi ke hukum se ho raha hai. Allah tala ko is zameen ke alag - alag hisso ma or alag - alag logon ma alag - alag namon se yaad kiya jata hai. Kul aalam jitne bhi achhe naam hain wo sab allah ke liye hi hain. Arbi ma bhi uske bohat se naam hain jinme 99 naam bohat mashhoor hain, un sab ma uska jaati naam "Allah" sabse ziyada mashhoor hai. Allah ke is jaati naam se kaise fayeda utayen.... Allah ke naam ko kis tarha len jis se ham fayda le sakte hain, Jaano or fayda uthao. ================================== Photo by unsplash