Hamari Sanson

Hamari Sanson

Lyrics Hamari sanson mein aaj tak woh hina ki khushboo mehak rahi hai, labon pey naghmey machal rahey hain nazar se masti chalak rahi hai; Hamari sanson mein aaj tak woh hina ki khushboo mehak rahi hai, Kabhi jo thay pyar ki zamanat, woh haath hain ghair ki amanat, Jo kasmain khatay thay chahatoon ki unhi ki niyat behak rahi hai Hamari sanson mein aaj tak woh hina ki khushboo mehak rahi hai, Kissi say koi gila nahin hai, naseeb hi main wafa nahin hai, Jahan pay tha hina ko khilna, hina wahin pay mehek rahee hai Hamari sanson mein aaj tak woh hina ki khushboo mehak rahi hai, Woh jin ki khatir ghazal kahee thi, woh jin ki khatir likhay thay naghmay, Unhi kay aagay sawal ban kay ghazal ki jhajar chanak rahi hai Hamari sanson mein aaj tak woh hina ki khushboo mehak rahi hai