Muqaami Anjuman Anjumne -e- Naqviya Mustafabad Unchahar (2017)

Muqaami Anjuman Anjumne -e- Naqviya Mustafabad Unchahar (2017)

Labbaik Ya Husain a.s. ki sadaaon se goonja Mustafabad.. 24 November baroz juma Mustafabad Unchahar mein ayyame Aza ki aakhri raat mein anjumane Naqviya ki jaanib se shabbedari ka eneqaad kiya gaya jismein sozkhwani janab Turab Akhtar sahab wa janab Azadar Husain sahab ne ki, peshkhwani janab Aadil naqvi sahab ne ki, majlis ko aali janab maulana janab Mohd aalim warsi sahab muzaffarnagar ne khitab kiya, Nizamat ke faraeiz janab anees sahab Jaisi ne ada kiye, baad majlis muqaami anjuman anjumne naqviya ne nauha-khwani ki aur uske bad mein 5 bairuni anjumano ne shabbedari mein shirkat ki jismein Anjumane Ansaare husaini Banaras, Anjumane abbasiya ahlesunnat badagaon kaushambi, Anjumane azaay-Husain jalalpur ambedkar nagar, Anjumane Abbasiya Fatehpur, anjumane Zulfeqariya Jaunpur shamil thi, sabhi anjumano behtareen kalaam pesh kiye aur shabbedari ke aakhir mein anjumane Zulfeqariya ne dahakti Zanjeeron se bahut hi shandar matam kiya, is dauraan Labbaik Ya Husain.a.s ke naron se Imambargah goonjne laga…