Surah Ar-Rahman ki ayat 14 se 34 tak Allah Ta‘ala apni qudrat, rehmat aur insaan o jinn par apne azeem ehsanaat ko wazeh andaz mein bayan farmate hain. In ayaat mein insaan ki takhleeq mitti aur khanakti hui gil se hone ka zikar hai, jab ke jinn ko aag ki lapton se paida kiya gaya. Yeh baat Allah ki qudrat aur hikmat ko zahir karti hai ke mukhtalif makhlooq ko mukhtalif maddon se paida kiya gaya. In ayaat mein samandar, moti aur marjan ka zikar hai jo Allah ki ne‘maton mein se hain. Bari bari kashtiyan jo paharon ki tarah samandar mein chalti hain, Allah ke hukum se chalti hain, jo is baat ka saboot hai ke poori kainaat us ke qabze mein hai. Phir Allah Ta‘ala farmate hain ke zameen par maujood har cheez fana hone wali hai, sirf Allah ka zaat baqi rehne wali hai jo jalal aur ikram wali hai. Ayat 29 se aagay bayan hota hai ke har lamha Allah Ta‘ala kisi na kisi kaam mein masroof hai aur zameen o aasman ki har makhlooq usi se mangti hai. Aakhirat ke hawale se insaan aur jinn ko khitab karke yeh kaha jata hai ke tum Allah ki hukmrani se bahar nahi nikal sakte. Yeh ayaat Allah ke adal, qudrat aur qayamat ke din ki yaad-dahani karwati hain aur banday ko ghaflat se nikal kar shukar aur itaat ki taraf bulati hain.